Aapki Kimat Kya Hai??

       '' Ek sheher me ek kavi (Poet) rehta tha, Vo apni kavitao k liye poore sheher me famous  tha, uski Samzdari,  Akal,  or Art Ki tarif karte  Log thakte nhi the. 
Par vo jyada rich nhi tha. Vo bht hi simple tarike se apne life ko jee raha tha...  Ek din sheher k Famous Business Man k ladki ki shadi tay hui...Five star hotel book kiya gya or tamam sari cheeze ki gyi jisase shadi 'Grand Wedding' lage...  Uss Shadi me kavi ko bhi bulaya gaya.. Vaha sheher k aur bhi famous businessman aaye the,  Ladki k pita khud sabka swagat krre the or sath me naukaro ko bhi kam pr laga diya tha... Kavi hamesha ki trh Simple kapdo me shadi me gye.. Or unhe bulane ka intezar karne lage,  bulana to dur par unki trf kisika dhyan bhi nhi gya or unhe ignore kar diya gya.... Kavi pass ki hi ek shop me gye or vaha se kapde kharide or unka look poori trh se change ho chuka tha....  Ab jab ve fir shadi me gye to ladki k pitane khud unka swagat kiya,  Khud unke liye khana bhi serve kiya.... Par khate waqt vo sara khana apne kapdo pr lga rhe the or keh rahe the '' Khana aapke liye hai, khana aapne hi khana chahiye'' sab unke is behavior se shock ho gye,  ladki k pita ne poocha ye aap kya kar rahe h kapde kaise khana kha sakte hai,,  kavi ne javab diya, '' ye aap pooch rahe h, Jab mai simple kapdo me aaya tha, tab to aapne badi aasani se muze ignore kar diya,,  par ab jab mai in kapdo me aaya hu to aap mera swagat kar rahe hai,  basically aap mera nhi kapdo ka swagat kar rahe hai,  to khana bhi kapde hi khayenge. '' Ladki k pita ko Apni galti ka aehsaas hua or unhone kavise maafi bhi maangi.''
          Kya hum aksar aisa nhi karte kapdo se,  looks se,  kisi k rehne k trike se usko value dete hai.... Na ki jaisa vo hai uske liye.... Yaa kayi baar aisa hota hai, hamari financial conditions kamjor hone ki vajah se hum bhi apni life simply jeete hai,  par log hamari value nhi karte...... 
           Matter nhi karta hum mehenge kapde pehne ya saste,  rolex ki watch pehne ya fastrak ki,  kaam to vahi hoga jo mehengi cheez karti hai.... 
           Q naa hum apna jyadatr samay apni inner beauty ko Nikharne me  lagaye bajay hamare looks k.... Isase humari jindagi khushnuma nhi ho jayegi?? 
        Or rahi baat kisi k value dene ki,  To kya hum apne aap ko sahi value dete hai???  Ye sawal apne aap se ek baar jarur puchiyega!!!! 
        A. P. J Abdul Kalam ne kaha tha, '' If you want to be handsome, give your hands to some, to make their life beautiful....''
        Value the  valuable......
         Share your opinion in comments. 

               
         

Comments

  1. Nice thought. Beautiful story.....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you Very much Asif... Keep supporting and keep reading... Next articles are arriving soon

      Delete
  2. Thank you very much.. Keep supporting.... And comment karte rahiye... Agar pasand aaye to

    ReplyDelete
  3. Replies
    1. Thank you very much keeo reading, and don't forget to comment and share if u like it, thanks again

      Delete
  4. Replies
    1. Thank you very much ..keep reading and dont forget to share ur opinions in comment box, share with ur friends if u like it

      Delete
  5. Osm thought
    And story aslo
    Aj ke daor mein loog toh sirf kapdo se judged krte

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yes sahi kaha aapne, q naa khudse hi shuruat kare, hum logo ko kapdo se judge karna band kar dete hai, or vo jaise hai us k liye unki respect karte hai,, thanks for reading , keep commenting and share with ur friends if u like it

      Delete
  6. Replies
    1. Thanks a lot, keep reading and sharing with your friends, and let me know if u like it, share ur opinions also

      Delete
  7. Good one👌👌...it's simply like , "Never judge the book by it's cover....!!!
    Keep writing such mindblowing stories.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yes brother, thanks for comment and keep reading

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Lessons from pencils ✏

Give Your 100%