Lessons from pencils ✏

       Aaj maine YouTube par bohot khubsurat sa ek video dekha. Aur muze laga ye baate aapse share karna to banta hai.... So ye clear hai ki ye jo bhi baate aap yaha padhoge,  vo meri kahi hui nhi hai,  ye kisi or ka knowledge  hai,  but yes,  hum iss story se bohot kuch seekh jarur sakte hai,  so shuruaat karte hai.......
       Jab pencil bankr taiyaar hui, tab pencil maker ne pencil se kaha, ''Jo kuch bhi important or extraordinary hai, vo tum me hai.'' Ab yaha do pehlu ho sakte hai,  pencil kaa outside aur pencil k  inside. Same humare life me bhi yahi baat lagu nhi hoti??  Jo kuch bhi important hai,  vo humare andar hi maujud hai,  yaha bhi do pehlu h,  ek external and dusra internal.  External h hamari personality,  hum kaise dikhte h,  kaise khud ko maintain karte h,  kaise apne aap ko present karte h, etc.  Internals hai hamari life ki values,  hamare morals,  hamare skills,  sanskar, etc.  Jaise ki aaj hum developing era me jee rahe hai,  external matter karta hai,  but usse bhi jyada internal matter karta hai.  So Keep improving your internal world😉😊
         Dusri baat jo pencil maker ne pencil se kahi, ''Jab tak jo Tumhare andar hai,  bahar nhi aa jata, tumhari koi value nhi h..'' means jab tak pencil ki lead bahar nhi aati,  tab tak pencil kis kaam ki?? Valuable banane k liye jo pencil ki inner qualities hai use bahar aana padega. Same life me bhi jab tak hum apne skills, talent, etc ko use nhi karte,  tab tak kaha hamari life valuable hoti hai. Tab tak hum apna best de hi nhi sakte,  jab tak hum apna true potential use naa kare... 
         Teesri most important baat jo pencil maker ne pencil se kahi, ''Jab tak tum sharpening se gujrogi nhi, tab tak jo tumhare andar hai,  vo bahar kabhi nhi aayega.'' Means Hum without sharp kiye pencil ko useful bana hi nhi sakte.  Same life me bhi agar hume khud ko valuable banana hai,  best banana hai to hume sharpening se gujarna padega.  Vo huamara bura samay hoga,  failures honge,  heart break hoga, par jab hum unse ubharenge,  or khud ko valuable banayenge,  tab hum tarashe hue heere honge.. So kabhi bhi bure samay se ghabraiyega nhi 😊😊
         Chauthi baat jo pencil maker ne pencil se kahi, ''Tum se galtiya bhi hogi, par eraser ki help se tum apni galtiya sudhar sakti ho.'' Agar humse koi galti ho jati h to,  hum erase kar k again apni mistakes ko sudhar lete hai,  haa uss page pr,  pehle jaisi freshness nhi hoti,  but hum galti sudhar sakte h..  Life me bhi,  agar hum galti karte h, aur galtiya ho hi jati h,  I am sure, duniya mai aisa koi nhi hoga jo kahe muzse galtiya nhi hui, To eraser ki help se matlab un galtiyo ko sudhar ke, for ex.  Kisi se badtameeji kar li to usase mafi mang k,  etc.  Hum apne aap ko better bana sakte h.  Jindagi hamesha galti sudharne ka mauka nhi deti,  par at least uss galti se hum seekh kar,  dobara ye galti naa ho, Iska dhyan to rakh hi sakte hai. 😊
           To ye thi vo sari baate,  jo maine ek video me dekhi aur seekhi bhi.  Video ki baato ko maine as it is aapke samne rakha hai.  Aapko ye story kaisi lagi, comments kar k jarur bataiye... 
           Good luck to all readers and thank you very much... 


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aapki Kimat Kya Hai??

Give Your 100%