All about problems
Life me ek cheez aisi h jo sabhi ko chahiye,''Happiness'', jiske bare me hum discuss kar chuke h. Par ek chiz aisi bhi h jo kisi ko nhi chahiye, '' Problems '' koi hajaro or lakho me ek hoga, jo bolega haa muze problems pasand hai. Khair hamare pasand hone ya na hone se cheeze badal nhi jayegi. Problems hamare life ka ek important part h, jise hum chah kar bhi avoid nhi kar sakte.
Iska matlab ye to tay h, ki problems hamare life me aayegi hi, to ab kare kya? Rote rahe? Usase kya ho jayega? Rone se problem sort out to hogi nhi. Better h ki solutions dhundhe. Life k situations k sath aap happy ho? Haa to vo karte raho jo kar rage ho! Life k situations k sath khush ho? Nhi, problems kam krne k liye kuch kar sakte ho? Haa, to karo, nhi to jo kar rahe ho karte raho.
Kayi baar situations hamare hath me nhi hoti. Lekin uske upar react kaise karna vo hamare hath me h. Bilkul usi trh, jis trh flight ki take off hamare hath me nhi, landing hamare hath me nhi, travelling k waqt hone wali problem hamare hath me nhi, par during travel hume kya karna hai, ye hamare hath me hai. Hume song sunana hai, movie dekhni h, khana h, sona hai, etc. Ye cheeze hamare hath me h. Isi trh naa birth hamare control me h, naa death, or naa hi life me aane vali problems, pr un situations ko handle kaise karna hai, ye hamare hath me h.
Ek baar ek panditji gao me aaye, sab unka pravachan sunane gye, unhone ek joke sunaya, sab log thahake lagakar has pade, fir dobara vahi joke sunaya, tab kuch kam log hase, fir vahi joke sunaya, abhi hasne vale log bht kam the, panditji ne kaha, '' Hum same joke par baar baar haste nhi, fir same problems pr baar baar rote q rehte h?'' kya hum bhi ais hi nhi krte? Kisi Ek problem ko le kr baith jate h!
Ek baar ek baccha apne maa k pass gya, vo kadhai kar rahi thi, bacche ne poocha, ''maa aap kya kar rahi ho?'' maa ne javab diya, ''design bana rahi hu.'' Bacche ne kaha, ''design? Ye design h? Muze to sirf neele, pile, hare dhage, sab ek dusre me bikhre hue lag rahe h, aap ise design kehti ho? '' Maa ne bacche ko god me bithaya, or use design dikhayi! Same life ka bhi aisa hi h. Hum jab humare point of view se dekhe to hume sab cheeze bikhri hi lagegi, par god k point of view se usne hamare life ki beautiful planning kar rakhi h. Or agar hume beautiful design chahiye, to dusre side se dhago kaa ulazana, hum avoid nhi kar sakte.
Kayi baar chize aasan nhi hoti, Situations bht kharab hote h. For ex. Ek ladki past me molest hui, ab vo 3 months ki pregnant h, kya kare, baccha rakhe ya abort kare? Agar abort karti h, to zindgi bhar ka guilt uske sath rahega, agar rakhti h to society k tane, maa baap k tane, sunana padega, aur fir usase shadi kon karega? Aisi situation me koi kya kare? Aisi situation me hum problem ko avoid nhi kar sakte, jo cheeze hum seh sakte h, jiske consequences hume manjoor hi use hi choose karna chahiye! Definitely itna aasan nhi h. Idhar kua, or udhar khai h, aise waqt par jo cheezs hume thik lage, not temperory but in long term use choose karna chahiye.
Problems to life me aani hi h, agar smile karte karte hum problems ko solve karte rahe, to kitna accha hoga? Rone se vaise problem khatam to hogi nhi. Rona bhi jaruri h, vo emotion h, use bhi hum avoid nhi kar sakte, ro lo Jitna rona h, rone se man halka hota h, par make sure, ek baar rone k bad, uss bat par dobara nhi royenge.
Problems hamare life ka bht important hissa h, jo hume kamjor banane k liye, balki strong banane k liye aate h, problem se hume hamare true potential ka pata chalata h, problems se hi hum jaan pate h, jo log humare sath h, kya vo sahi me hamare well wisher h, kya vo sach me hamare dost h? Agar problems naa aati to hum ye chize kabhi samaz hi nhi pate, Nhi? To q naa hum problems ko problem nhi ek opportunity ki trh dekhe, or unse seekhne ki koshish kare!
Kisi ne sach hi kaha h, ''Agar aap janana chahte ho, ki aap kitne amir ho, to ek aasu bahao, or Dekho, kitne log use pochne aate h! ''
Thanks for reading, May god bless you. Keep growing.
Apna opinion comment me jarur bataye.
Nice verry verry nice yaar
ReplyDeleteThank you very much keep reading 😊
DeleteProblem h to solution bhi h
ReplyDeleteYes, remember always, problem never decrease, it is we, we became stronger, thank you
DeleteWow great yar
ReplyDeleteThanks shweta
DeleteWow great
ReplyDeleteThank you very much shweta, thank u very much for supporting
DeleteAnsu agaye padh ke ! Nice one !
ReplyDeleteThank you so much buddy... I am glad to see that you like it.
Delete