If You Are Feeling Like Giving Up

       

          Kya kabhi aapko life me aisa laga hai ki jo kuch hum kar rahe hai chod dena chahiye,  nhi karna chahiye,  itne salo se kar raha hu or kuch bhi growth nhi hai kuch bhi results nhi hai.. Haa ye sach hai ki agar kuch growth dikhe to hume ummeed rehti hai,  but agar kuch bhi growth  naa ho results naa ho to aisa feel hona normal bhi hai. 
           But kabhi socha hai ki bhagwan aisi mushkile hume hi q deta hai. Bhagwan aise challenges hume kabhi nhi denge jinhe hum handle hi naa kar paye. Challenges agar aate hi nhi to hume hamara true potential ka kabhi pata hi nhi chalta.  Challenges hume strong banane k liye aate h naa ki kamjor.  
          Iss baat ko story se samzte h.... 
        '' Ek aadmi ne fern k or bamboo k beej boye.. Aur unko thik se pani or sunlight mile iska bhi khayal rakha. Kuch dino me fern ka paudha ugne laga bada hone laga. Jisase us aadmi ko bahot khushi hui.  Vo bamboo ka ped dekhne k liye bhi besabar tha.  1 saal beet gya par kuch najar nhi aaya vo nirash hota par usne dekhbhal karna nhi choda.  Dekhte hi dekhte 4 saal beet gye aur kuch bhi growth nhi.  Par aadmi ne apni dekhbhal jari rakhi. 5 ve saal me bamboo k ankur futne lage,  bilkul chote se shayad kisi ko najar bhi naa aaye.  Aur agle 6 mahino me bamboo 100ft uche growth kar chuke the..''
             Kya hota agar vo aadmi dekhbhal karna band kar deta.. Iska matlab ye nhi hai ki jo 5 saal bamboone  lagaye vo khudka base pakka karne k liye lagaye taki jab vo aasman ko chue to toot k kahi gir naa jaye... 
            Jaruri nhi ki growth hamesha dikhayi hi de.. Growth andaruni bhi ho sakti hai,  hamari koshish kabhi jaya nhi jaati,  kuch na kuch benefit hame jarur milta hai.. 
             Hum to 2 3 ya 10 koshish me hi haar jate hai, par 'Edison' par kya beeti hogi jab unke 1000 trials fail hue bulb banane k.. Aaj unki vajh se hamari jindagi me roshni hai..  KFC ka chicken to bht logo ka favorite hoga par unke founder k dil pe kya beeti hogi jab vo interview me 1009 baar fail hue,  kafi struggle k baad unko ye success mili hai... 
              Aise kayi examples hai,  Jo hume 'Never Give Up' ka path padhate h.... Fern or bamboo dono bht alag hai, Un dono ka struggle bhi alag hai,  par dono hi apne aap me beautiful hai, dono hi jungle ko khubsurat banate h .... Kabhi bhi Jindagi me hara hua mehsus kare to ye jaan lo ki hamari growth ho rahi hai, hamari mehnat rang jarur layegi..... 
           Aapka is bare me kya khayal hai, comment kar k jarur bataiye or padhte rahiye 'My Mindset'....
 

Comments

  1. Nice story. Insan ne kabhi haar nahi manna chahiye, sabar kaa fal mitha hota hai.Jo kabhi na kabhi hasil (milta)hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Right Friend, thanks for comment, keep reading

      Delete
  2. Kabhi har nhi manna chahiye koshish krte rehna chahiye 10 koshishe faile hogi lekin 11 koshish to rang layegi isiliye har kabhi nhi manna chahiye hamesha khud ko positive hi rakhna chahiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Great my dear friend... Keep reading and learning... Thanks for commenting

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aapki Kimat Kya Hai??

Lessons from pencils ✏

Give Your 100%