Kuch To Log Kahenge......
''Sabse bada rog kya kahenge log... '' ye to hum hamesha se hi sunte aa rahe hai. Par ye rog Itna deeply hum logo ki life ko possess kar chuka hai, shayad shabdo me batana namumkin hoga. Aap kuch bhi kar lo, aapki ki hui cheezo me log kamiya nikalenge hi. Social media pr ek post bohot viral thi shayad aap logo ne dekhi ho, jisme ek gadha and husband wife hote h. Uss photo me 5 alag alag situation dikhayi gyi hai aur uspe logo k comment bhi. Agar aap ne nhi dekhi to aap iss post ki photo dekh sakte hai. So agar aap kuch bhi kar le to log to nam rakhenge hi...
Ek story bhi share karna chahungi.., ''Ek mithai vala apni shop k bahar ek whiteboard pr likhta hai, ''Yaha Taji Mithaiya Milti Hai. '' Ek aadmi aakar kehta hai, '' Bhai Sabko pata hai ki aap mithaiya yaha bech rahe ho vaha nhi, to yaha ki kya jarurat? '' vo yaha mita deta hai. Bachta hai, '' Taji Mithaiya Milti Hai. '' Ek customer kehta hai, ''Bhaiya, 1 kg basi mithaiya dena. '' Dukandar kehta hai, '' Mai Basi mithaiya nhi bechta'' To customer kehta hai, '' Fir ye Taji Likhne ki kya jarurat? '' Ab vo Taji bhi mita deta hai, Ab Bachata hai, ''Mithaiya milti hai'' Ek Customer Aake kehta hai ''bhaiya, 2 kg karele dena,'' Dukandar kehta hai, '' ye Mithaiyo ki dukan hai''To customer kehta hai, ''To Mithaiya q Likha hai? '' Ab vo Mithaiya bhi mita deta hai, Ab bacha hota hai, ''Milti Hai'' Jiske liye usko ajeeb ajeeb call aana shuru ho jate hai 😅😅 Fir vo poora board saaf kar deta hai... par kahani yahi khatam nhi hoti... Ek customer aake kehta hai, '' Bhaiya aapka itna accha white board hai, ispe aap aisa q nhi likhte, ''Yaha Taji Mithaiya Milti Hai'' 😂😂
To aap kitna bhi kuch kar lo, Log to kamiya nikalenge hi, Aap agar logo k hisab se jeeyoge to aapka jeena mushkil ho jayega, Isiliye aap vahi karo, Jo aapka dil chahe, Jo aapko accha lage..
Par iska ye matlab nhi h ki jo dil me aaye vo hum karte chale jaye, q ki kayi baar hum galat bhi hote hai; hamare Maa, Baap, teachers, aise kuch log hote hai, Jo humare well-wisher hote hai, Hume unki baate sunana chahiye, unke point of view se samzne ki koshish karna chahiye, agar fir bhi lage ki hum sahi hai, fir hame hamare dil ki sunani chahiye...
Agar Aapko Apne Vicharo Par Vishwas Hai, Ki Jo Aap Kar Rahe Ho, Vo Sahi Hai, To Karte Rahiye, Logo K bare Me Bina Soche....
Nice story amisha ji
ReplyDeleteThank you very much Saniya, Keep reading, And share it with your friends also
DeleteKeep it up,
ReplyDeleteYou tried to explain about society in short and meaningful way
Thank you very much dear friend. Keel reading and commenting, don't forget to share with your friends.
DeleteKuch to log kahenge logo ka kam h kahna......
ReplyDeleteNice amisha ji , sach a inspiring story
Thank you very much dear, For reading and I am happy to see that you like it, keep reading and don't forget to share it with your friends
Delete