Man K Andar!

            
              Ye Article Shuru Karne Se Pehle Ek Story Batana Chaungi.  So Story Begins Here
            ''Ek baar ek chote bcche ko school me uski teacher question puchti hai ki, ''agar mai tumhe 2 apples pehle or 2 apples bad me du to tumhare pass kitne apples honge?''  Is par baccha answer deta hai, ''5 Apples madam'' Teacher  kehti hai ''Question fir se dhyan se suno agar mai tumhe 2 apples pehle or 2 apples baad me du to tumhare pass total kitne apples honge?'' Is baar baccha acche se count kar k fir jawab deta hai,  '' 5 apples mam'' Ab teacher poochti hai ki ''Agar mai tumhe 2 mango pehle or 2 mango bad me du to tumhare pass total kitne mangoes honge?'' Baccha acche se count kar k javab deta hai ''4 mangos madam'' Fir teacher pehla sawal dohrati hai aur javav bhi pehle ki tarh 5 hi milta hai.  Fir teacher ko gussa aa jata hai or uss bacche ko datate hue kehti hai ''2+2 mango 4 honge to 2+2 apple 5 kaise honge,'' ''Baccha kehta hai q ki 1 apple mere bag me hai madam''
                So ye thi story,  kya hum bhi dusro ko aise hi judge nhi karte,  kya hum bhi kisi k bare me apni raay bht jaldi nhi banate,  ya fir aisa bhi hota hai ki hume log galat judge kar lete hai.... 
           Agar aapne kisi insan ko ye baat karte hue suna ki kisi ko marna acchi baat nhi hai aur vahi insan kisi or se keh raha hai ki kisi ko marna accha hai......  Aap kya sochoge aise insan k bare me??  
         Well,  Hum me se jyadatar log yahi kahenge kaisa dogala aadmi h kabhi kuch to kabhi kuch kehta hai, nhi??  Par hum kabhi ye nhi sochte ki aisa usne q kiya yaa seedha usse jake bhi nhi poochte.... Shayad uske peeche reason ho ki jisko usne bola ki kisi ko marna acchi baat nhi vo murderer ho ya criminal ho ya aisa kuch karne vala ho.... Or jisko usne ye Kaha ki kisi ko marna acchi baat hai vo person shayad army me ho Aur vo terrorist ko marne ki baat kar raha ho.... 
         Kya hum aksar aisa hi nhi karte.... Well honestly batau to mai bhi aisi hi thi par ab maine apne aap ko badal liya hai... Aap bhi koshish kijiye khud ko badal neki  aur apne man k andar jhakne ki...... Koshish kijiye uss 5th apple ko dekhne ki... 
        Duniya buri hai, par hum to acche hai hume kisne roka hai accha banane se,  Nahi??? 
        Change starts within you!!!!
        Apna opinion jarur share kijiye...
          

Comments

  1. Thank you very much Asif... Keep sharing and supporting

    ReplyDelete
  2. Replies
    1. Thanks dear friend... Many more articles are arriving.. Keep supporting and let me know if u like it by comments...thanks for precious response

      Delete
    2. Very good attempt, very nicely framed, keep it up

      Delete
    3. Thank you so much mam... Your response really unexpected and precious for me... Thanks again

      Delete
  3. Replies
    1. Thank you very much for your precious response.. Keep reading and keep supporting... Let me know if you like my next articles by commenting... Thanks again

      Delete
  4. Replies
    1. Thanks for your precious comment.... Keep supporting... And let me know if u like my next articles.. Thanks again

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Yaade kuch beete palo ki!

Aapki Kimat Kya Hai??

Give Your 100%