The Secret Of Happiness
Khushi k sabke apne apne mayne hai. Kisi ko lagta hai relationship se khushi milti hai, kisi ko lagta hai luxurious life se, Kisi ko branded cheezo se, kisi ko mehengai gadiyo se, and so on. Par kya paise happiness kharid sakta hai? Isme koi doubt nhi ki paisa important hai. Paisa bohot important hai. Agar nhi hoga to hum survive kaise karenge? Par paise se hum happiness nhi kharid sakte. Kya Jinke pass sari facilities hai vo khush hai poori trh? Jin logo k pass luxurious life h ve sochte hai, ki sari cheeze hone k bavjood mai khush q nhi hu? Q ki luxurious things happiness k liye bani hi nhi h. Technologies hamari life easy banane k liye hai, convenient banane k liye hai, Happiness k liye nhi.
Chahe hum fastrak ki watch pehne ya rolex, time nhi badlega; Chahe hum Audi me ghoome ya Suzuki me, Destination nhi badlegi, Chahe hum expensive cheeze kharide ya Sasti, Unka function vahi hoga. Hum always hamare liye best chahte hai, and chahna bhi chahiye. Mai nhi keh rahi ki ye sab galat hai. Par ye expensive things hamari pasand ho sakti hai, happiness ki vajh nhi. Happiness hamare andar hoti hai, hamare bahar nhi. Agar mehengi gadiyo me, ya aisi kisi materialistic cheezo me khushi hoti to Jo insan K pass ye sari cheeze hai vo poori trh tension free hota, but aisa nhi hai.
Hum bachpan me jab school me the tab sunte the 10th karlo fir maje hai, fir 12th karlo fir maje hai, Engineering kar lo, medical kar lo fir maje hai, Job mil jaye fir maje hai, shadi kar lo fir maje hai...... Hum ek stage se dusri stage pe chale jate hai par 'Maje' kahi dikhayi nhi dete. Humlog khushi k peeche bhagte rehte hai. Hum logo ko bataya jata hai ki, happiness ek manjil hai jo aap ye kar lo to mil jayegi, But '' Happiness is a Journey, Not A Destination.'' Aakhir me samaz me aata hai, Hum logo ne sirf din kate hai, zindagi jeena to hum bhul hi gye hai.
Iska ye matlab bilkul bhi nhi hai, ki hume hamara best nhi dena chahiye. Jarur dena chahiye. But abhi bhi jo humare pass hai, shayad vo kisi ki dream life hi sakti hai. Hume ye life ki journey jaise taise complete nhi karna hai, Jindagi ko har pal jeena hai. Khushi hamare andar hai.
Ek lady apni life se bht pareshan thi, uske pass sari facilities thi, luxurious life thi. Par fir bhi vo khush nhi thi. Vo Counselor k pass gyi. Counselor uski baat bohot patiently sun raha tha. Ek garib auarat jo vaha kam karti thi, usko uski happiness k bare me poocha. Usne bataya ki mere husband ki kuch din pehle death ho gyi, fir uska beta bhi accident me mar gya. Tab vo bht depressed ho gyi thi. Hasna to jaise vo bhul hi gyi thi. Fir ek din use kutte ka chota sa baccha dikha bimar saa. Use vo ghar leke aayi, use doodh diya, biscuits diye, and uske chehre pr ek muskurahat thi. Satisfaction tha. Ek kutte ka chota sa baccha usko khushi de raha tha. Fir vo roj kisi k liye kuch naa kuch karti, and ab vo khush rehne lagi thi. Kisi ne sach hi kaha hai, '' The Happiness Multiplies, When We Divide What We Have To Serve Others. ''
Khushiya batne se hi badhti hai, khushi batne se, hamara gam to kam hoga par hame ek deep satisfaction milega. And best kijiye apni life me, par sirf umar mat katiye, Zindagi katne k liye nhi jeene k liye hoti hai.
May all of you have all the happiness in your life.
Aap k iss bare me kya opinions hai, jarur share kijiye. Thanks for reading.
So so beutiful story
ReplyDeleteThank you very much dear, keep reading, and commenting, don't forget to share with friends
DeleteNice story 👌
ReplyDeleteThank u very much
Delete