Lessons from pencils ✏
Aaj maine YouTube par bohot khubsurat sa ek video dekha. Aur muze laga ye baate aapse share karna to banta hai.... So ye clear hai ki ye jo bhi baate aap yaha padhoge, vo meri kahi hui nhi hai, ye kisi or ka knowledge hai, but yes, hum iss story se bohot kuch seekh jarur sakte hai, so shuruaat karte hai....... Jab pencil bankr taiyaar hui, tab pencil maker ne pencil se kaha, ''Jo kuch bhi important or extraordinary hai, vo tum me hai.'' Ab yaha do pehlu ho sakte hai, pencil kaa outside aur pencil k inside. Same humare life me bhi yahi baat lagu nhi hoti?? Jo kuch bhi important hai, vo humare andar hi maujud hai, yaha bhi do pehlu h, ek external and dusra internal. External h hamari personality, hum kaise dikhte h, kaise khud ko maintain karte h, kaise apne aap ko present karte h, etc. Internals hai hamari life ki values, hamare...